chilchilati dhup sar par aur tanha aadmi aah ye khamosh patthar aur tanha aadmi jis tarah ek barf ke tile pe jalti ho chita ye pighalta mom sa ghar aur tanha aadmi is hisar-e-khamushi mein barsar-e-paikar hain tez aawazon ke lashkar aur tanha aadmi kya usi ka nam hai ranai-e-bazm-e-hayat tang kamra sard bistar aur tanha aadmi kis tarah aabaad hogi dil ki suni kaenat dubte majruh manzar aur tanha aadmi hae un be-kar zehnon ki ghani parchhaiyan uf ye sannate ka ajgar aur tanha aadmi raat ke nange badan se khwahishon ki chhed-chhad har-ghadi anjam ka dar aur tanha aadmi