chor darwaza yan ke hum bhi hain in ko rauzan se jhanke hum bhi hain jo adam ko wajud se hain gae gard us karwan ke hum bhi hain fash parda karo na kushton ka naza mein munh ko dhanke hum bhi hain ishq chhota bana chuka warna ek bade khandan ke hum bhi hain tirchhi nazron ko sidha rakhen aap warna ek tedhe banke hum bhi hain hai zamin ka sataya qais agar zakhm-chin aasman ke hum bhi hain naqsh baitha uthega kis se 'waqar' sang-bos aastan ke hum bhi hain