chup rahoge to zamana is se bad-tar aaega aane wala din liye hathon mein khanjar aaega wo lahu pi kar bade andaz se kahta hai ye gham ka har tufan us ke ghar ke bahar aaega kya tamasha hai dare sahme hue hain sare log kya meri basti mein koi zalim afsar aaega laut kar pichhe kabhi jati nahin raftar-e-waqt zindagi ko ab mitane kaun khud-sar aaega main hun us bazm-e-hasin ka muddaton se muntazir sab ke hathon mein jahan labrez saghar aaega tum isi wadi mein thahro intizar us ka karo wo tumhaare pas ek paigham le kar aaega kucha kucha se uthegi gham-zadon ki ek lahr qarya qarya se bahi-khwahon ka lashkar aaega hath mein mishal liye har samt pahre par raho raat ki chadar lapete hamla-awar aaega dekh ai sayyah mere des ki ujdi bahaar is se badh kar bhi koi ghamgin manzar aaega meri surkhi-e-tasawwur se hain kyun naraaz aap kya hara ped aap tak bhi phul le kar aaega dhal chali 'dauran' jawani ki chamakti dopahar ab bhala pahlu mein mere kaun dilbar aaega