chupke se qarib aana phir dur nikal jaana

chupke se qarib aana phir dur nikal jaana
har pal ka muqaddar hai mazi mein badal jaana

kar kar ke teri baaten padh padh ke tera chehra
har sinf-e-sukhan sikhi har rang-e-ghazal jaana

ek farz hai hasti par har pal ki pazirai
tarikh ka shewa hai sadiyon ko nigal jaana

padti hain pahadon par suraj ki shuaen jab
mushkil kahan rahta hai phir barf pighal jaana

kirdar ada karna har shakhs ko padta hai
aasan nahin qaumon ki taqdir badal jaana

'jawed' zaruri hai duniya mein andhera bhi
hai maslahat-e-yazdan ye sham ka dhal jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close