churae nazren kabhi muD ke dekhta bhi hai

churae nazren kabhi mud ke dekhta bhi hai
ki tir tirchhi nigahon ke phenkta bhi hai

ajib shakhs hai likh kar phir apne dil ka waraq
na jaane kaun si wahshat mein modta bhi hai

tum is pe chal ke meri zat mein chale aao
ye pul-siraat tumhaare liye khula bhi hai

samajh ke soch ke aana ki is mohabbat mein
jahan sukun hai is mein to rat-jaga bhi hai

main is haqir ko aakhir ye kaise samjhaun
faqat khata hi nahin ishq moajiza bhi hai

main jis ko mar ke zinda bhi rah nahin sakta
wahi zamir hai mera wahi khuda bhi hai

bade jatan se mila hijr-e-daimi mujh ko
yahi maraz hai mera aur yahi dawa bhi hai

bhale zamane ne bhar di hon talkhiyan mujh mein
meri zaban pe urdu ka zaiqa bhi hai

bade hi ghaur se sunta hai sare sher magar
ghalat kahan pe mujhe badh ke tokta bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close