dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras
baad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras

aabiyari se teri ai tegh-e-yar ab ke baras
takhta-e-gul hai hamara jism-e-zar ab ke baras

ta-ba-daman hai gareban tar tar ab ke baras
tutte hain talwon mein chubh chubh ke khar ab ke baras

hai ye zor-e-amad-e-fasl-e-bahaar ab ke baras
mast hain zahid bhi misl-e-baada-khwar ab ke baras

ulfat-e-saqi ne lo zahid ko bhi khincha idhar
daur-e-mai ka subha par hoga shumar ab ke baras

fasl-e-gul mein baad-e-murdan bhi hua josh-e-junun
sang-e-tiflan se ho tarmim-e-mazar ab ke baras

shishe mein pinhan hai mai aur dil mein zauq-e-mai-kashi
aate hi saqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras

saqiya ainak chadhe hon ranj-o-gham baala-e-taq
baada-e-di-sala ka shisha utar ab ke baras

zulm par bandhi hai phir sayyaad-o-gulchin ne kamar
qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

aarzu hai baad-e-murdan bhi rahun sairab-e-mai
sarf-e-jam-o-khum karen mera ghubar ab ke baras

josh-e-khun-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar
le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-khar ab ke baras

julte hain dil bulbulon ke aashiyan ki tarah se
aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukar ab ke baras

qismat apni apni hai achchha mubarak ho 'habib'
khar-e-gham hum ko tumhein pahlu-e-yar ab ke baras


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close