dakhl har dil mein tera misl-e-suwaida ho gaya al-aman ai zulf-e-alam-gir sauda ho gaya go pada rahta hun aab-e-ashk mein misl-e-habab sozish-e-dil se magar sab jism chhaala ho gaya ai shah-e-khuban tasawwur se tere rukhsar ke chashm ka parda be-ainihi lal-e-parda ho gaya farq-e-rindan-o-malaik ab bahut dushwar hai mai-kada us ke qadam se raushan aisa ho gaya dana-e-angur akhtar chandni mai mah jam nasr-e-taer bat qaraba charkh mina ho gaya sunte hain taib hua us but ke ghar jaane se tu kya tera 'bimar' patthar ka kaleja ho gaya