dalan mein kabhi kabhi chhat par khaDa hun main

dalan mein kabhi kabhi chhat par khada hun main
sayon ke intizar mein shab bhar khada hun main

kya ho gaya ki baith gai khak bhi meri
kya baat hai ki apne hi upar khada hun main

phaila hua hai samne sahra-e-be-kanar
aankhon mein apni le ke samundar khada hun main

sannata mere chaaron taraf hai bichha hua
bas dil ki dhadkanon ko pakad kar khada hun main

soya hua hai mujh mein koi shakhs aaj raat
lagta hai apne jism se bahar khada hun main

ek hath mein hai aaina-e-zat-o-kaenat
ek hath mein liye hue patthar khada hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close