dar-e-mai-KHana se diwar-e-chaman tak pahunche

dar-e-mai-khana se diwar-e-chaman tak pahunche
hum ghazalon ke taaqub mein khutan tak pahunche

hath mai-khwaron ke be-qasd uthe the lekin
ittifaqan tere gesu ki shikan tak pahunche

madrase mein kahan us zulf ka mauzu-e-jadid
log pahunche to riwayat-e-kuhan tak pahunche

rasta ek tha hum ishq ke diwanon ka
qad-o-gesu se chale dar-o-rasan tak pahunche

aaen hum dast-daraazi pe to maikhane se
silsila anjuman-e-sarw-o-saman tak pahunche

ek qaba-e-subuk-o-tang mein sau sau hain tilism
kya koi husn ke asrar-e-kuhan tak pahunche

aap hi aap jo khul jae teri zulf-e-daraaz
na-gahan be-hunari nuqta-e-fan tak pahunche

ai sukhan-fahm hum us bazm se aae hain jahan
hairat aaina-e-uslub-e-sukhan tak pahunche

is tarah shauq-e-ghazalan mein ghazal-khwan ho zafar
shohrat-e-mushk-e-ghazal shahr-e-khutan tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close