dar maut ka na khauf kisi dewta ka tha wo fath-yab yun tha ki banda khuda ka tha pahle bhi hadsat hue zindagi ke sath lekin jo aaj dekha wo manzar bala ka tha lo wo bhi gir gaya mere aangan ka ped aaj har waqt jis se aasra taza hawa ka tha sun kar jise pahadon ke sine dahal gae ye bhi karishma dosto apni sada ka tha tufan se bach nikalne ki surat na thi koi ye faiz meri man ke hi dast-e-dua ka tha tum bhi bhula do tark-e-talluq ka waqia hum bhi ye soch lenge ki jhonka hawa ka tha sahil pe la ke aap safine jala diye ye kaam bhi 'wasim' hamari ana ka tha