dar-o-diwar par saya pada hai hawaon mein nami ka zaiqa hai koi tufan hai kachcha ghada hai nigah-e-shauq manzil-ashna hai wahi kunj-e-qafas hai aur hum hain wahi ummid ka jalta diya hai main aaine mein khud ko khojta hun ye ganw kab ka khali ho chuka hai december ki kahani aur kuchh thi mere dil ka ujadna hadisa hai gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-dil hamein kitna banaya ja raha hai yahan insan boe ja rahe hain ye jangal is liye kata gaya hai qabila qafila qaidi qataren ye manzar sham tak phaila hua hai ye rasta dur tak jata hai 'rahil' hamein pichhe bhi mud kar dekhna hai