daraaz itna meri qaid ka zamana tha

daraaz itna meri qaid ka zamana tha
ki wo chaman na raha jis mein aashiyana tha

bahae ashk jo us ne ye ek bahana tha
ki khun-baha ko mere khak mein milana tha

bala se jaan gai intizar mein meri
mujhe to aap ka ek wada aazmana tha

jafa-e-charkh zaruri thi ishq se pahle
ki apne dil ka mujhe zor aazmana tha

ab intizar tumhaara main aur kya karta
hui thi der bahut mujh ko dur jaana tha

jahan hum aaj gharib-ud-dayar hain 'natiq'
usi dayar mein apna gharib-khana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close