dard-e-furqat ko kya kare koi

dard-e-furqat ko kya kare koi
hae aadat ko kya kare koi

dil ki hasrat ko kya kare koi
is musibat ko kya kare koi

pyar karne se aar hai to kaho
achchhi surat ko kya kare koi

doston ko to rokun shokhi se
sari khilqat ko kya kare koi

chashm-o-dil se chhupaun dard-e-nihan
rang-e-surat ko kya kare koi

apne dil ka to khun kar dalun
un ki surat ko kya kare koi

un ka farman hai ki aah-o-fughan
ma-badaulat ko kya kare koi

nasehon ko salam bhi kar lun
us nasihat ko kya kare koi

aarzu hai to khauf bhi kuchh hai
pak niyyat ko kya kare koi

tujh mein jo baat chahiye wo nahin
le ke surat ko kya kare koi

wo khafa hon to main khata kar lun
chhed hujjat ko kya kare koi

mehrban hain janab-e-dil us par
aise hazrat ko kya kare koi

meri taqrir mein to hai tasir
teri sohbat ko kya kare koi

nam bhi un ka hum nahin lete
ab shararat ko kya kare koi

ai safi' wo bigad gae man kar
teri qismat ko kya kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close