dard ek roz koi rang dikhae to bane

dard ek roz koi rang dikhae to bane
ruh gar chhod ke tan dahr mein aae to bane

nazar aaen tere chehre ke khad-o-khal tamam
dil se uth jaen kabhi wahm ke sae to bane

wahdat-e-dard ho qariyon mein hawa ki manind
ek ho jaen agar apne parae to bane

waizan muzhda ki jannat mein bahaar aai hai
meri duniya se khizan laut ke jae to bane

dew-e-taqdir khada hai mere aage har dam
koi tadbir ise zahr pilae to bane

jis ko dekha kisi murde ka muqallid dekha
apni ho jae har ek shakhs ki rae to bane

sab ke dukh sunta hun main zoaf-e-zaifi mein wale
mera dukh koi meri man ko sunae to bane

apne aamal ko auron se chhupa rakkha hai
meri niyyat ko koi mujh se chhupae to bane

main banata to bahut hun nahin banti lekin
wo inayat se meri baat banae to bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close