dard hai ki naghma hai faisla kiya jae

dard hai ki naghma hai faisla kiya jae
yani dil ki dhadkan par ghaur kar liya jae

aap kitne sada hain chahte hain bas itna
zulm ke andhere ko raat kah diya jae

aaj sab hain be-qimat girya bhi tabassum bhi
dil mein hans liya jae dil mein ro liya jae

be-hisi ki duniya se do sawal mere bhi
kab talak jiya jae aur kyon jiya jae

ab to faqr-o-faqa ki aabru isi se hai
tar tar daman ko kyon bhala siya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close