dard ki dhup-bhare dil ki tamazat le kar

dard ki dhup-bhare dil ki tamazat le kar
kaise jae koi ehsas ki hijrat le kar

phir kahan jaiye ab baithiye matam kije
dil ke hathon mein ye anmol sharafat le kar

kya kahen ab to nikalna bhi bahut mushkil hai
apne kandhe pe khud apni hi zamanat le kar

pet ki bhuk tamashe pe tamasha kar le
hum thakenge nahin is bhuk ki aadat le kar

apne bistar pe kisi raat hamein nind aati
aur phir khwab nahin aate zarurat le kar

dekhiye sochiye mahsus to hone dije
dard ki dhup mein ehsas ki lazzat le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close