dard ki dhup se chehre ko nikhar jaana tha

dard ki dhup se chehre ko nikhar jaana tha
aaina dekhne wale tujhe mar jaana tha

rah mein aise nuqush-e-kaf-e-pa bhi aae
main ne danista jinhen gard-e-safar jaana tha

wahm-o-idrak ke har mod pe socha main ne
tu kahan hai mere hamrah agar jaana tha

aagahi zakhm-e-nazara na bani thi jab tak
main ne har shakhs ko mahbub-e-nazar jaana tha

qurbaten ret ki diwar hain gir sakti hain
mujh ko khud apne hi sae mein thahar jaana tha

tu ki wo tez hawa jis ki tamanna be-sud
main ki wo khak jise khud hi bikhar jaana tha

aankh viran sahi phir bhi andheron ko 'nasir'
raushni ban ke mere dil mein utar jaana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close