dard wale ho to phir aisa karo

dard wale ho to phir aisa karo
sath kuchh hamdard bhi rakkha karo

apna begana na tum dekha karo
har kisi se maslahat barta karo

dusron ke dard ki chhodo miyan
pahle apne dard ka chaara karo

go bulandi ho ki pasti har jagah
zehn-o-dil donon khule rakha karo

is qadar khamoshiyan achchhi nahin
log kya sochenge kuchh socha karo

jis ko jo hona hai ho hi jaega
kaun kyon kaise hai kam socha karo

saf dikh jaenge chehre ke nuqush
aaina nazdik se dekha karo

ham-safar honge to bichhdenge zarur
is liye ek ek safar tanha karo

har-nafas 'asi' khuda ki den hai
har-nafas ek chaukasi barta karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close