dariya hain phir bhi milte nahin mujhse yar log

dariya hain phir bhi milte nahin mujh se yar log
jurat kahan ki sahra se hon ham-kanar log

jadu faza ka tha ki hawa mein mila tha zahr
patthar hue jahan the wahin be-shumar log

ab saya o samar ki tawaqqo kahan ruke
sukhe hue shajar hain sar-e-rahguzar log

dahshat khuli faza ki qayamat se kam na thi
girte hue makanon mein aa baithe yar log

ek dusre ka haal nahin puchhta koi
ek dusre ki maut pe hain sharmsar log

suraj chadha to pighli bahut chotiyon ki barf
aandhi chali to ukhde bahut saya-dar log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close