ek jaise nim-jaan mahaul-o-manzar dur tak be-nawa be-nam logon ke samundar dur tak bas wahi lafzon ki barish ek si har abr se ek se pyasi zaminon ke muqaddar dur tak khak hote aatish-e-ehsas-e-mahrumi se dil barf-e-mayusi mein jakde zehn aksar dur tak zindagi ko naginon ki tarah dasti goliyan zahr badhta phailta andar hi andar dur tak dur tak kale dhuen mein khun ki bu tairti tairti aur marsiye likhti hawa par dur tak