dariya jo chaDha hai wo utarne nahin dena

dariya jo chadha hai wo utarne nahin dena
ye lamha-e-maujud guzarne nahin dena

duniya hi nahin dil ko bhi is shahr-e-hawas mein
man-mani kisi haal mein karne nahin dena

mahsus nahin hogi masiha ki zarurat
ye zakhm hi aisa hai ki bharne nahin dena

mushkil hai magar kaam ye karna hi padega
insan ko insan se darne nahin dena

jis khwab mein ru-posh ho jine ki tamanna
wo khwab-e-dil-awez bikharne nahin dena

gar dil ko jala kar bhi dhuan karna pade to
in paudon ko kohre mein thithurne nahin dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close