dariya mein bahut kuchh hai rawani ke alawa muddat se main sairab hun pani ke alawa ai shahr-e-sitam-zad teri umr badi ho kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa iman-shikan paikar-e-doshiza-e-alam sab kuchh hai tere pas jawani ke alawa kis ahd-e-gunahgar ne li aakhiri hichki masruf hain sab fatiha-khwani ke alawa rangon ko baratne ka hunar sikh chuka hun kya chahiye ab teri nishani ke alawa duniya se talluq ka sabab kis ko bataun ab dost kahan dushman-e-jaani ke alawa kya dun tujhe jati hui jaan-baz bahaaro kuchh pas nahin barg-e-khizani ke alawa har shakhs mudawa hai aqidat se hai be-zar mohlat hai kise pir-e-mughani ke alawa ashaar kahan dete hain munh dekhi gawahi 'khurshid' kahan nur-e-maani ke alawa