dariya mein ye naw kis taraf hai pani ka bahaw kis taraf hai ye rah kidhar ko mud rahi hai logon ka lagaw kis taraf hai manzil kahan takte hain rahi takte hain padaw kis taraf hai tasir kahan gai sukhan se jazbon ka alaw kis taraf hai aawaz kahin bula rahi hai yaron ka rijhaw kis taraf hai taswir dikha rahi hai kya kuchh rangon ka rachao kis taraf hai khoe hue tum kahan ho 'gauhar' dil ka ye khichao kis taraf hai