dasht-dar-dasht phira karta hun pyasa hun main aur duniya ye samajhti hai ki dariya hun main tang sahra nazar aaya hai jo phaila hun main ho gai hai meri taswir jo simta hun main justuju jis ki safinon ko rahi hai sadiyon dosto mere wo be-nam jazira hun main kis liye mujh pe hai ye sust-rawi ka ilzam zindagi dekh le khud tera sarapa hun main aarzu mere qadam ki thi kabhi rahon ko aaj lekin dil-e-imkan mein khatakta hun main padh sako gar to khulen tum pe rumuz-e-hasti waqt ke hath mein ek aisa sahifa hun main anjuman hun main kabhi zat se apni 'shibli' aur mahfil mein bhi rah kar kabhi tanha hun main