dasht-e-wafa mein thokaren khane ka shauq tha ab har qadam pe udti hai kali hari hawa tanha kahan hun go ki yahan koi bhi nahin mujh se lipat ke sota hai saya khafa khafa hain gul-mohar ke ped bhi dariya bhi dhup bhi khamosh dekhta hai har ek shai ko be-nawa jine ki rah chhod ke aage nikal gaya manzil pukarti rahi jata hai sar-phira naghma bana ke mujh ko faza mein uda diya ab main kahan se dhundh ke laun teri sada