dasht mein dhup ki bhi kami hai kahan

dasht mein dhup ki bhi kami hai kahan
panw shal hain magar bebasi hai kahan

lams-e-dasht-e-bala ki hi saughat hai
mere atraf mein be-hisi hai kahan

khak mein khak hun be-makan be-nishan
mera malbus tan khusrawi hai kahan

mera soz-e-darun mail-e-lutf ho
mujh mein shoala-fishan wo nami hai kahan

phunk de badh ke jo tirgi ka badan
meri aankhon mein wo raushni hai kahan

saut-o-harf-e-tamanna se ho ba-khabar
aisi idrak mein naghmagi hai kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close