dasht ne talib-e-gulzar kiya hai mujhko

dasht ne talib-e-gulzar kiya hai mujh ko
meri wahshat ne gunahgar kiya hai mujh ko

gosha-e-zat mein aabaad hai duniya meri
khud ki hasti ne giraftar kiya hai mujh ko

naql-o-harakat ne banaya hai tamasha mera
bad-hawasi ne saza-war kiya hai mujh ko

ab mere kaam jo aae to hunar bhi kaise
dil ne shohrat ka parastar kiya hai mujh ko

jism ke sehr se nikla to ye jaana main ne
ruh ne surat-e-afkar kiya hai mujh ko

kya bataun ki azal se hai tamanna jis ki
us ne kis kis ka talabgar kiya hai mujh ko

khud se ladta hun to lagta hai ki ran mein 'rahat'
waqt ne qafila-salar kiya hai mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close