dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga

dasht-paimai ka gar qasd mukarrar hoga
har sar-e-khar pae-abla nashtar hoga

mai-kade se tera diwana jo bahar hoga
ek mein shisha aur ek hath mein saghar hoga

halqa-e-chashm-e-sanam likh ke ye kahta hai qalam
bas ki markaz se qadam apna na bahar hoga

dil na dena kabhi in sang-dilon ko yaro
chur howega jo shisha tah-e-patthar hoga

dekh leta wo agar rukh ki tajalli tere
aaina khana-e-mayusi mein shashdar hoga

chaak kar dalunga daman-e-kafan wahshat se
aastin se na mera hath jo bahar hoga

ai 'rasa' jaisa hai bargashta zamana hum se
aisa bargashta kisi ka na muqaddar hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close