dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho tum dost ho to kyun nahin mushkil samajhte ho sine pe hath rakh ke batao mujhe ki tum jo kuchh dhadak raha hai use dil samajhte ho har shai ko tum ne farz kiya aur is ke baad sae ko apna madd-e-muqabil samajhte ho dariya tumhein sarab dikhai diya aur ab gard-o-gubar-e-rah ko manzil samajhte ho khush-fahmiyon ki had hai ki pani mein ret par jo bhi jagah mile use sahil samajhte ho tanhai jalwa-gah-e-tahayyur hai aur tum viraniyon ke raqs ko mahfil samajhte ho jis ne tumhaari nind pe pahre bitha diye apni taraf se tum use ghafil samajhte ho
Please share if you liked this!!!