daude wo mere qatl ko talwar khinch kar main rah gaya ek aah-e-sharar-bar khinch kar gustakh jazb-e-shauq hai kitna ghazab kiya laya hai kis ko yun sar-e-bazar khinch kar hai hai khabar bahaar ki sunte hi mar gaya ek aah-e-sard murgh-e-giraftar khinch kar wabasta is se saikdon dil aashiqon ke hain band-e-qaba na bandhiye zinhaar khinch kar gar apne aah-o-nala mein tasir kuchh hui 'raunaq' hum un ko laenge sau bar khinch kar