daulat-e-husn ki bhi hai kya luT

daulat-e-husn ki bhi hai kya lut
aankhon ko pad gai hai luta-lut

chal rahi hai dila hawa-e-bahaar
lala phula hai dagh-e-sauda lut

samne tere jo pade ai turk
us mein kaba ho ya kalisa lut

chaar din hai bahaar ai bulbul
zar-e-gul ka hazar toda lut

saf-e-mizhgan se kah rahi hai wo chashm
dil milen jitne be-tahasha lut

sarf-e-allah mal-e-duniya kar
mard hai kuchh to bahr-e-uqba lut

saf dil ho to jalwa-gar ho yar
aaina ho to ho tamasha lut

neamat-khwan-e-husn jo mil jae
ye samajh le hai mann-o-salwa lut

gauhar-e-abla hue to chale
lenge diwano khar-e-sahra lut

jaante hain ki fauj-e-jangi se
nahin sardar pher leta lut

kaam mardon ka hai ye ai 'atish'
rakhti hai jaan ka bhi khatka lut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close