dawa baghair koi tifl mar gaya to kya hua bas ek phul hi to tha bikhar gaya to kya hua kabhi kabhi to raushni bhi ek azab-e-jaan hui wo chandni se teri kokh bhar gaya to kya hua na raat hi sanwar gai na raushni hi mar gai andheri bauli mein chand utar gaya to kya hua kamal jugnuon ka tha ki raushni mein kho gae fareb apne sae hi se dar gaya to kya hua mere liye to khwab ek chashma-e-hayat tha kisi ko khwab khwab tha bikhar gaya to kya hua guzarte mausamon ke qafile to raundte rahe gharib koi sahn se guzar gaya to kya hua na main koi sawar hun na koi mal-dar hun udhar raha to kya hua idhar gaya to kya hua