dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai

dayar-e-dil mein naya naya sa charagh koi jala raha hai
main jis ki dastak ka muntazir tha mujhe wo lamha bula raha hai

phir adh-khula sa koi daricha mere tasawwur pe chha raha hai
ye khoya khoya sa chand jaise teri kahani suna raha hai

wo raushni ki talab mein gum hai main khushbuon ki talash mein hun
main daeron se nikal raha hun wo daeron mein sama raha hai

wo kam-sini ki shafiq yaaden gulab ban kar mahak uthi hain
udas shab ki khamoshiyon mein ye kaun lori suna raha hai

suno samundar ki shokh lahro hawaen thahri hain tum bhi thahro
wo dur sahil pe ek bachcha abhi gharaunde bana raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close