dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha

dayar-e-dil se kisi ka guzar zaruri tha
ujad raste pe koi shajar zaruri tha

zara si der mein bujhne ko tha magar us dam
diye ko chalti hawa ka samar zaruri tha

agar na hote ye duniya isi tarah chalti
hamara hona jahan mein magar zaruri tha

nazar mein sher sajate ghazal samaat mein
sukhan ke shahr mein aisa nagar zaruri tha

hamare dil mein rahi hai bas ek hi khwahish
dayar-e-yar mein apna bhi ghar zaruri tha

chhalak rahi hain mere rome rome se khushiyan
tumhaari bazm ka kuchh to asar zaruri tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close