dayar-e-husn mein pabandi-e-rasm-e-wafa kam hai

dayar-e-husn mein pabandi-e-rasm-e-wafa kam hai
bahut kam hai bahut kam hai ba-hadd-e-intiha kam hai

jafa-e-be-sabab kam hai ki jaur-e-na-rawa kam hai
teri be-dad ai zalim na hone par bhi kya kam hai

kamal-e-dilbari mein kaun si teri ada kam hai
na shokhi kam haya se hai na shokhi se haya kam hai

ba-kasrat sair ki hai har rawish gulzar-e-alam ki
yahan rang-e-mohabbat hai bahut bu-e-wafa kam hai

khuda ke nam par dast-o-gireban hain khuda wale
bahut hai jis qadar zikr-e-khuda khauf-e-khuda kam hai

azal se hoti aai hai abad tak hoti jaegi
gunahgar-e-wafa par jis qadar bhi ho jafa kam hai

dua ko hath kyun utthe mere timar-daron ke
zaban se kyun nahin kahte ki ummid-e-shafa kam hai

rahe kyunkar na bad-zan wo shah-e-husn ai 'wafa' mujh se
bada nadan hai sunta bahut hai dekhta kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close