dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega

dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega
yahin kahin se charaghon ka nur chamkega

kahan hun main koi musa ki ek sada pe meri
wo nur phir se sar-e-koh-e-tur chamkega

tere jamal ka nashsha sharab jaisa hai
hamari aankhon se us ka surur chamkega

bharam jo pyas ka rakkhega aakhiri dam tak
usi ke hath mein jam-e-tuhur chamkega

ye kah ke dar pe khud ko chadha diya main ne
ki dar par bhi sar-e-be-qusur chamkega

lute hue hain magar hum abhi nahin mayus
hamare taj mein phir koh-e-nur chamkega

talash karta hai mujh musht-e-khak mein tu abas
ghurur hoga jabhi to ghurur chamkega

mata-e-fan se nawaza gaya hai tujh ko 'faragh'
isi se nam tera dur dur chamkega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close