dekha tha jo bhi KHwab mein ab kya hai kuchh nahin

dekha tha jo bhi khwab mein ab kya hai kuchh nahin
is husn aur shabab mein ab kya hai kuchh nahin

mere liye to jaise wo kaghaz ka phul tha
us khushnuma gulab mein ab kya hai kuchh nahin

ab hain kitab-e-zist ke auraq muntashir
is ke har ek bab mein ab kya hai kuchh nahin

mujh ko dikha raha tha abhi tak wo sabz bagh
hai zindagi azab mein ab kya hai kuchh nahin

khush-fahmi ke shikar the wade pe jis ke sab
kya kya mila hisab mein ab kya hai kuchh nahin

jo kuchh bacha ke rakkha tha aainda ke liye
sab mil gaya wo aab mein ab kya hai kuchh nahin

mera sawal us ke liye la-jawab tha
jo kuchh mila jawab mein ab kya hai kuchh nahin

kal tak samajh raha tha jise jaan-e-arzu
is husn-e-intikhab mein ab kya hai kuchh nahin

raushan thi jin se sham-e-shabistan-e-zindagi
yaadon ke is sarab mein ab kya hai kuchh nahin

jo lutf us ki nuqrai aawaz mein mila
is chang aur rabab mein ab kya hai kuchh nahin

'barqi' tha jis ka ru-e-hasin misl-e-mahtab
us rashk-e-mahtab mein ab kya hai kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close