dekhne mein to lagte hain insan se

dekhne mein to lagte hain insan se
be-khabar hain sab apni hi pahchan se

hai tujhe yaad karne ki khwahish bahut
dil jo ghafil kabhi ho tere dhyan se

dushmani ka koi daw-kari nahin
jit lete hain dushman ko ehsan se

dil mein shafqat ho chahat ho ikhlas ho
ghar ka matlab nahin saz-o-saman se

yun sar-e-rah un se taqabul hua
jaise milta hai anjaan anjaan se

ghar se bahar to the mutmain mutmain
ghar mein 'athar' mile hain pareshan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close