dekhta bhi hai dekhta bhi nahin

dekhta bhi hai dekhta bhi nahin
jaise wo mujh ko jaanta bhi nahin

kis tarah aaj khud ko pahchanun
mere ghar mein to aaina bhi nahin

dhak thi sare shahr mein jis ki
ab use koi puchhta bhi nahin

pichhe mudne mein khauf-e-ruswai
aage jaane ka rasta bhi nahin

roz khabron mein nam aata hai
shahr mein koi jaanta bhi nahin

ghair se puchhta hai haal mera
main bulaun to bolta bhi nahin

us ko nikla hun dhundne 'kausar'
jis ka koi ata-pata bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close