dekhte jate hain namnak hue jate hain

dekhte jate hain namnak hue jate hain
kya gulistan khas-o-khashak hue jate hain

ek ek kar ke wo gham-khwar sitare mere
gham sar-e-wusat-e-aflak hue jate hain

khush nahin aaya khizan ko mera uryan hona
zard patte meri poshak hue jate hain

dekh kar qarya-e-viran mein zamistan ka chand
sham ke sae alam-nak hue jate hain

zulm sab ahl-e-zamin par hain zamin walon ke
hum abas dushman-e-aflak hue jate hain

dida-e-tar se mayassar tha hamein dil ka gudaz
qaht-e-girya hai to saffak hue jate hain

kuza-gar ne hamein mitti se kiya tha takhliq
kya tajjub hai agar khak hue jate hain

kaisi ibrat hai ki is kashmakash-e-rizq mein hum
apne hi rizq ki khurak hue jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close