dekhun to kahan tak wo talattuf nahin karta aare se agar chire to main uf nahin karta tum dete ho taklif mujhe hoti hai rahat sach jaaniye main is mein takalluf nahin karta sab baaten unhin ki hain ye sach boliyo qasid kuchh apni taraf se to tasarruf nahin karta sau khauf ki ho jae magar rind-e-nazar-baz dil jalwa-gah-e-lanshaf-o-shuf nahin karta shokhi se kisi tarah se chain us ko nahin hai aata hai magar aa ke tawaqquf nahin karta us shokh-e-sitamgar se pada hai mujhe pala jo qatl kiye par bhi tassuf nahin karta jo kuchh hai ana mein wo tapakta hai ana se kuchh aap se main zikr-e-tasawwuf nahin karta taskin ho kya wade se mashuq hai aakhir har chand suna hai ki takhalluf nahin karta kya haal tumhaara hai hamein bhi to batao be-wajh koi 'shefta' uf uf nahin karta