raqabaton ki tarah se hum ne mohabbaten be-misal ki hain magar khamosh ab jo ho gae hain inayaten mah o sal ki hain kahan se duniya ko aa gae hain ye taur us ke tariq us ke muzahira sab gurez ka hai alamaten sab visal ki hain nazar uthao to har taraf hai bahisht-e-husn-o-jamal lekin kahan wo andaz us ka lahja shabahaten khadd-o-khal ki hain nigar-e-fan hai ki mangti hai lahu se har-dam khiraj apna hamara kya sath de sakengi jo shohraten be-kamal ki hain ye jhukti shakhen sarakte sae mahakti khushbu bahakte baadal utho inhen jawedan to kar len ki saaten ye visal ki hain ye khud-kalami ye be-niyazi ye shahr walon se dur rahna amanaten 'azmi' yaqinan kisi gham-e-la-zawal ki hain