dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada

dekhun to mere dil mein utarta hai ziyaada
shoala ki tah-e-ab nikharta hai ziyaada

kya jaaniye kya baat hai ab dasht ki nisbat
dil khamushi-e-shahr se darta hai ziyaada

andar ka wahi rog use bhi hai mujhe bhi
banta hai ziyaada wo sanwarta hai ziyaada

jo aankh ke jalte hue sahra se pare hai
baadal usi raste se guzarta hai ziyaada

rukh shahr ki jaanib hua jangal ki hawa ka
aur shor mere dil mein ubharta hai ziyaada

'jafar' ye laga zakhm-e-mohabbat bhi ajab hai
badhta hai ziyaada jo na bharta hai ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close