dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna

dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna
us ka ek jharoke mein phir shaal sukhate rahna

jaane kis ki yaad aati hai sahil sahil ja kar
ret pe zakhmi poron se ashkal banate rahna

rabt ek shai kaliyon se komal aur hawaen murakh
tute us ke tar to kya sur-tal milate rahna

kya jaane kab lamhon ki mafrur samaat laute
achchhi achchhi aawazon ke jal bichhate rahna

apni to miras yahi hai raat gawahi degi
din ke aariz sham sawere lal banate rahna

us ne to aate rahna hai sehn mein ram karne ko
roz ghazal-e-dard ke mathe khal lagate rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close