dhuan bana ke faza mein uDa diya mujhko

dhuan bana ke faza mein uda diya mujh ko
main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko

taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko

main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hawa ne tham ke zamin par gira diya mujh ko

safed sang ki chadar lapet kar mujh par
fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko

khada hun aaj bhi roti ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko

na jaane kaun sa jazba tha jis ne khud hi 'nazir'
meri hi zat ka dushman bana diya mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close