dhul se jab main aT jata hun

dhul se jab main at jata hun
rah se thoda hat jata hun

waqt ki dhaar hai mere sar par
roz zara sa kat jata hun

hun koi malbus purana
jagah jagah se phat jata hun

jis ke liye hun jitna zaruri
waise hi main bat jata hun

hath mein hai ye kis ke taraazu
taul mein roz hi ghat jata hun

halka sa ek abr-e-rawan hun
dhup mein jaldi chhat jata hun

patta bhi hil jae kahen to
dar se khud main simat jata hun

bahas ghalat hone par 'shahin'
aap hi pichhe hat jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close