DhunD jugnu koi zulmat ko miTane wala

dhund jugnu koi zulmat ko mitane wala
ab to suraj se andhera nahin jaane wala

har kisi ko na dikha apne ghamon ke zewar
kanch ki aankh mein aansu nahin aane wala

mere ahbab mere haal pe rote hain magar
kash hota koi girte ko uthane wala

tere chehre pe jo raunaq hai mere ishq se hai
sirf ghaza se nahin nur ye aane wala

rahnumaon ki har ek baat baja, par kya hai
apne mazi se koi aankh milane wala

in ujalon ke talabgar to sab hain lekin
hai koi khun charaghon ko pilane wala

teri taswir kabhi tera badal ho na saki
ek kaghaz mein nahin husn samane wala

apne daman mein duaon ke khazane bhar lo
phir ye darwesh nahin laut ke aane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close