DhunDhta hai koi rasta mere aaine mein

dhundhta hai koi rasta mere aaine mein
qaid jo shakhs hai mujh sa mere aaine mein

khinch le tujh ko na aaine ke andar ka tilism
ghaur se dekh na itna mere aaine mein

us ke jaisa hun main aaine ke bahar koi
rah raha hai wo jo mujh sa mere aaine mein

main hi aaina-e-duniya mein chala aaya hun
ya chali aai hai duniya mere aaine mein

aks kuchh aur nazar aata hai mera sab ko
kis ne ab tak mujhe dekha mere aaine mein

ru-ba-ru hota hai ek shakhs bhi mujh sa 'athar'
main akela nahin hota mere aaine mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close