dhundla diya zist ka tasawwur

dhundla diya zist ka tasawwur
apni aankhon hi ki nami ne

haiwan-sifat hua hai aakhir
dikhlaya kamal aadmi ne

ki dosti bhi to dushmani se
jaana na unhen magar hamin ne

gadhe ki to khaal khinch dali
raat un ke jamal-e-reshmin ne

shoalon se bujhai pyas ji ki
yaron ke mizaj-e-balghamin ne

ye zohra ye mushtari ye mahtab
kya kya na milin nai zaminen

mit kar bhi ghubar-e-kahkashan hain
chamka diya kis ki hamdami ne

jo gul sar-e-arsh bhi na khilte
wo gul bhi khila diye zamin ne

shayad ki talab kiya 'nazar' ko
kabe mein rasul-e-hashmi ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close