dhundoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo khwab hain hum main hairat o hasrat ka mara khamosh khada hun sahil par dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum ho jae bakheda pak kahin pas apne bula len behtar hai ab dard-e-judai se un ki ai aah bahut betab hain hum ai shauq bura is wahm ka ho maktub tamam apna na hua wan chehre pe un ke khat nikla yan bhule hue alqab hain hum kis tarah tadapte ji bhar kar yan zoaf ne mushkin kas din hain ho band aur aatish par ho chadha simab bhi wo simab hain hum ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula hum mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum lakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do ek ai ahl-e-zamana qadr karo nayab na hon kam-yab hain hum murghan-e-qafas ko phulon ne ai 'shad' ye kahla bheja hai aa jao jo tum ko aana ho aise mein abhi shadab hain hum